Kya kru.. Nadan hun..♥ ♥
Khwabon ki dor se kuchh lafz baandh rakhe hain,
Unhe is zuba par lana b nahi aata..
Kya karun nadan hun, btana b nahi aata chhupana b nahi aata..
Door hun, par band aankhon k sapnon me haathon ko haath de jata hun,
Uske har aansu k moti ko chupke se apna saath de jata hun,
Meri zindagi h us ek mulakat k dum se,
Us farishte se inta jatana b nahi aata..
Kya karun nadan hun, btana b nahi aata chhupana b nahi aata..
Sach hi h k wo hamare nahi,
Par aaj b kushi ki wajah ko pane ki aas h..
Aaj b in saanson me use mehsoos karne ki pyas h,
Uske un bheege lobon ko honthon se chhu jana b nahi aata..
Kya karun nadan hun, btana b nahi aata chhupana b nahi aata..
Wo ankahe hi haule se kuch pyar jaisa jata jata h,
Wo anjaane hi ajnabi baaton se mujhe sata jata h
Man me ek dabi si jalan ko lekar muskurana b nahi aata..
Kya karun nadan hun, btana b nahi aata chhupana b nahi aata..
Uski roshni k dum se meri zindagi ka ye savera h,
aaj phir wo hamse rootha h shayad tabhi ye ghana andhera h..
Ek sailaab sa aata h in aankhon me uske roothne par..
Jisko k aankhon me rok pana b nahi aata,
Kya karun nadan hun, btana b nahi aata chhupana b nahi aata..
Gar hamari manzilen zuda hui to kya,
Us manzil k darmiyan ek sa rasta b h..
Dil to kahta h k aaj use sab kuch bata dun
Par mujhe hamare anokhe rishte ka wasta b h..
Meri yaadon k aashiane me basera h us hasi ka,
Mujhe to itta kah pana b nahi aata..
Kya karun nadan hun, btana b nahi aata chhupana b nahi aata..
- Get link
- X
- Other Apps
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment