Aik wada hy kisi ka jo wafa hota nhi
Warna in taron bhari raton mn kia hota nhi
G mn aata hy palat dein un k chehry se naqab
Hosla karty hein lekin hosla hota nhi
Shama jis ki aabro pr jan dy dy jhom kr
Wo patanga mar to jata hy fana hota nhi
Haye ye begangi apni nhi mujh ko khabr
Haaye ye aalam k to dil sy juda hota nhi
Bara daikha hy Saghar rahguzar e ishq mn
Karwan k sath aksar rahnuma hota nhi.
- Get link
- X
- Other Apps
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Post a Comment