Skip to main content

Jaan-e-Man ! Tere Naam Kartay Hain


Jab Koi Naik Kaam Kartay Hain
Jaan-e-Man ! Tere Naam Kartay Hain

Tere Chehray Se Dhoop Laitay Hain
Teri Zulfon Mein Shaam Kartay Hain

Kis Qadar Tang Hun Mohabbat Mein
Loog Kaisay Ye Kaam Kartay Hain

Un Ki Peshaanian Chamakti Hain
Jo Mohabbat Ko Aam Kartay Hain

Dil Ke Daalaan Mein Sajaa Kar Yaad
Jashan Ka Ehtmaam Kartay Hain

Sochtay Hain Tujhe Wuzuu Kar Ke
Yun Tera Ehtraam Kartay Hain

Ham Se Hee Ibtedaa Howi Jaana.n
Ham Hee Ab Ikhtetaam Kartay Hain

Comments